< Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Lyrics | Kalam-e-Ala Hazrat
Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Lyrics | Kalam-e-Ala Hazrat

Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Lyrics | Kalam-e-Ala Hazrat

Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Naat Lyrics In Hindi | Kalam-e-Ala Hazrat

अंधेरी रात है, ग़म की घटा, इस्या की काली है

दिल-ए-बेकस का इस आफ़त में, आका तू ही वाली है

ना हो मायूस, आती है सदा ग़ोर-ए-ग़रीबां से
नबी उम्मत का हामि है, खुदा बंदों का वाली है

उतरते चांद, ढलती चांदनी, जो हो सके कर ले
अंधेरा पाख आता है, ये दो दिन की उजाली है

अरे ये भेड़ियों का बन है, और शाम आ गई सर पर
कहां सोया मुसाफ़िर, हाए कितना ला उबाली है

अंधेरा घर, अकेली जान, दम घुटता, दिल उकता जाता
खुदा को याद कर प्यारे, वो साअत आने वाली है

जमीं तपती, कटीली राह, भारी बोझ, घायल पांव
मुसीबत झेलने वाले, तेरा अल्लाह वाली है

ना चौंका दिन है ढलने पर, तेरी मंजिल हुई खोटी
अरे ओ जाने वाले, नींद ये कब की निकाली है

रज़ा मंजिल तो जैसी है, वो एक मैं क्या सभी को है
तुम इसको रोते हो, ये तो कहां यहां हाथ खाली है

Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Naat Lyrics In English | Kalam-e-Ala Hazrat

Andheri raat hai gham ki ghata isyaa(n) ki kaali hai
Dil-e-bekas ka is aafat mein Aaqa tu hi waali hai

Na ho mayoos aati hai sada gore ghareeba(n) se
Nabi ummat ka Haami hai Khuda bando(n) ka waali hai

Utar te chaand dhalti chaandni jo ho sake kar le
Andhera paakh aata hai yeh do din ki ujaali hai

Are yeh bhediyon ka ban hai aur shaam aagayi sar par
Kahaan soya musaafir haaye kitna laa ubaali hai

Andhera ghar, akeli jaan, dam ghut-ta, dil uktaataa
Khuda ko yaad kar pyaare woh saa-at aane waali hai

Zamee(n) tapti, kateeli raah, bhaari bojh, ghaail paau(n)
Musibat jhelne waale tera Allah waali hai

Na chaunka din hai dhalne par teri manzil hui khoti
Are o jaan wale neend ye kab ki nikaali hai

Raza manzil to jaisi hai woh ik main kya sabhi ko hai
Tum is ko rote ho yeh to kaha yaa(n) haath khaali hai

Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Naat Details

  • Title: Andheri raat hai gham ki ghata isyaa(n) ki kaali hai
  • Poet/Lyricist: Imam Ahmed Raza Khan Barelvi
  • Singer: Allama Hafiz Bilal Qadri
  • Language: Hindi
  • Genre: Naat (Islamic devotional music)
  • Duration: Approximately  few minutes

Leave a Comment