Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Naat Lyrics In Hindi | Kalam-e-Ala Hazrat
अंबिया को भी अजल आनी है
मगर ऐसी कि फ़क़त आनी है
फिर उसी आन के बाद उनकी हयात
मिस्ल-ए-साबिक़ वही जिस्मानी है
रूह तो सब की है ज़िंदा उनकी
जिसमें पुरनूर भी रूहानी है
औरों की रूह हो कितनी ही लतीफ़
उनके अजसाम की कब सानी है
अंबिया को भी अजल आनी है
मगर ऐसी कि फ़क़त आनी है
पाऊं जिस ख़ाक पे रख दें वो भी
रूह है पाक है नूरानी है
उसकी अज़वाज को जाइज़ है निकाह
उसका तरका बांटे जो फानी है
ये हैं हय्ये अबदी उनको रज़ा
सिदक़े वादा की क़ज़ा मानी है
अंबिया को भी अजल आनी है
मगर ऐसी कि फ़क़त आनी है
Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Naat Lyrics In English | Kalam-e-Ala Hazrat
Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi ki faqat aani hai
Phir usi aan ke baad un ki hayaat
Misle saabiq wohi jismaani hai
Ruh to sab ki hai zinda un ki
Jisme purnoor bhi ruhaani hai
Auron ki rooh ho kitni hi lateef
Unke ajsaam ki kab saani hai
Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi ki faqat aani hai
Paau jis khaak pe rakh den woh bhi
Rooh hai paak hai nooraani hai
Uski azwaaj ko jaaiz hai nikaah
Us ka tarka baate jo faani hai
Yeh hain haiyye abadi unko Raza
Sidqe waada ki qazaa maani hai
Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi ki faqat aani hai
Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Naat Details
- Title: Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai
- Poet/Lyricist: Imam Ahmed Raza Khan Barelvi
- Singer: Owais Raza Qadri
- Language: Hindi
- Genre: Naat (Islamic devotional music)
- Duration: Approximately few minutes